Fir hua esa ki sab sunsaan ho gaya
Bhidbhaad wala wo rastay viraan ho gaya
Udd raha wo Parinda dekh kar is mahol ko
Apne hi Shahar se jese anjaan ho gaya
Mar rahe hai log hazaaron ki tadaad me
Waqt bhi insaan ke liye haiwaan ho gaya
Ro raha hai wo majdoor ghar me beth kar
Khatam ghar me khane ka samaan ho gaya
Ladne ke liye is Bhayanak mahamari se
Ghar me khed sara Hindustan ho gaya!!
No comments:
Post a Comment